Wednesday, 14 March 2012
Remoo Dhongibaba Prastut Karte Hain Paan Singh Tomar Ka Dhasu Review......
Kal hamne ‘Pan Singh Tomar’ Film Dekhi. Kya kehne is film ke. Laajawab kahani, aur zabardast acting. Irfan ne jo abhinay kiya hai ‘Pan Singh’ ka, use dekhkar to hamara dil kar raha hai ki is film ko aur dekha jaaye. Pahadon ke beechon beech apni toli mein jab ‘Pan Singh’ ko dikhaya gaya to hame bhi ichha hui ki hum bhi koi aisa hi gang banayein.
Film ke 2 dialog ne hamara dil jeet liye:-
1- Beehad mein ‘BAAGHI’ hote hain, ‘DACAIT’ milte hain parliament mein! (Jab Irfan bete ne ye dialog bola to hum to maare khushi ke lot-pot ho gaye.)
2-Kaho Haan! (Arre hum aapko haan kehne ke liye nahi keh rahe hain, Is film mein Irfan kehte hain, Kaho haan, aur jis ada se kehte hain, usne hume unka prasansak bana diya.)
Baadha daud mein 7 baar Rashtriya Champion reh chuke, ek fauji retire ‘Pan Singh’ ko jab gundo se bachne ke liye police ki madad chahiye hoti hai to bhi unhe police ki koi madad nahi milti. Aur unke parivar ko baar baar gundagardi ke dukh dard sehne padte hain. Baad mein fauj se retire ho chuke ‘Pan Singh’ apna gang banate hain, aur apne dushmano se badla lete hain.
Hamari aakhon ke saamne to ab bhi pan singh hi dikh rahe hain, aap bhi dekhna na bhuliye, Paan Singh Ki kahani hindi cinema ki zubani…Hum chale fir se dekhne ‘PAN SINGH TOMAR’ !!! To koi bhi poochhe dekhi “Paan Singh Tomar” to KAHO HAAN

Friday, 9 March 2012
Propose Karne Ke 5 Best Tarike.......
- Pyar mein aksar logon ke dil toot jaate hain, kyunki wo apne pyar ka izhaar sahi tarike se nahi kar paate. Ab aapko hum de rahe hain 5 aise upay jinhe aap apne pasandeeda vyakti par apnayeimnge to pyaar ki naiya ko paar kar jaayenge.1. Hamesha akele mein propose karein, haan bolne ki sambhavna 50% bad jaati hai, aur agar naa bol diya to beizzati kam lagti hai.2. Kisi hindi film ke hero ki tarah apne ghutno par baithkar apne pyar ka izhaar karo. Yadi use hindi filmein pasand hongi to tumhara kaam ban sakta hai.3. Pehle usse dosti badhao. Fir dosti ka fayda uthakar use apne dil ka haal jata do. Yadi dosti pakki hogi to prem kahani mein koi baadha na aayegi.4. Use samandar ki sair karane le jaao. Aur beech samandar mein usse kaho ki tum use kitna chahte ho, Yadi usne haan kaha to theek, warna use wahin samandar mein chhodkar waapas chale aao.5. Jise tum prem karte ho use apne prem ka izhaar karo aur uski best friend ko ek laal gulaab ka phool uphaar mein de do. Dono to ye tension hoga ki kahin tum kisi aur ko apna dil na de do, aur isi baat ka faayda tumko milna nischit hai.
Monday, 5 March 2012
Chunaav Maidan Mein Remoo Dhongibaba
Hame aisa lagta hai ki hamare desh ki rajneeti ko hamari bahut zaroorat hai. Isiliye ab humne faisla kiya hai ki hum bhi agli baar chunaav ladenge.
Jeetna to hamara nischit hi hai, jeetne ke baad hum jo kaam karenge wo kuch is tarah hain:-
1. Har majnu ko uski laila se pyar ka izhar karne ka ek sunehra avsar diya jaayega.
2. Sabse pehle petrol ki keemat ko kam kiya jayega, petrol sasta hoga tabhi to dvi chakra vaahan, arthaat Bike mein ghoomkar ishq lada sakoge.
3.Koi bhi kabhi fail nahi hoga. Har vishay mein 10 ank dhongi sarkaar ki taraf se diye jaayenge. Fir bhi yadi koi fail hua to agle hi din uski shadi kara dee jaayegi.
4. Jab jab cricket match hoga, tab tab school ya daftar sabka rashtriye avkas ghoshit kiya jayega.
5. Jo bhi 5 se zyaada ladke ladkiyan patayega use sarkari naukari dee jaayegi.
6. Ek saath 4-5 love affair rakhne waale ko hamara P.A. banaya jaayega, Kyunki jo 4-5 logon se ek saath prem karta hua nahi pakda gaya, wo aaram se 2-4 hazaar ke ghotale to kar hi lega.
Holi Ke Bahane Ladki Patane Ke Rangeen Tarike.......
Holi Ke Bahane Ladki Patane Ke Rangeen Tarike........
Holi hai rango ka tyohar, holi ke is khas mauke ko yun hi na gavaiye. Kisi se apni mohobbat ka izhaar karne ka isse achha mauka bhala aur kya ho sakta hai…To apnaiye ye 5 rangeele upaay, aur rangon ke is tyohar ko hamesha ke liye yaadgar bana lijiye…............
1. Use sirf hara rang hi lagao, hara rang sachhe pyar ki nishani hai.
2. Use jab rang lagao to uske saare chehre ko aise ghiso jaise usne kai saalon se nahi nahaya ho, use mehsoos hona chahiye ki tum kya batana chaah rahe ho.
3. Pehle use Chips, Gujhia, Bhang ke Pakore Dahi Bhalle ityaadi khilao, baad mein aisa rango jaisa aaj tak kisi ne na ranga ho. Khali pet rangoge to ishq ka asar kam hoga.
4. Use apni god mein uthakar paani ke toube mein phenk do. Aur jab phenko to use bhi lagna chahiye ki tumhare baajuon mein kitna dum hai.
5. Gaay ke gobar se holi khelo, hum vachan dete hain, uske baad wo tumhare saath jo karegi, tum use zindagi bhar nahi bhool sakoge.........
Subscribe to:
Posts (Atom)